kabhi gokul kabhi raadhaa kabhi mohan ban ke

Aziz Bano Darab Wafa

Kabhi gokul kabhi raadhaa kabhi mohan ban ke Main khayaalon men bhaTaktee rahi jogan ban ke Har janam men mujhe yaadon ke khilaune de ke Wo bichhaDtaa raha mujh se miraa bachpan ban ke Mere andar koi taktaa raha rasta us kaa Main hamesha ke liye rah ga.ee chilman ban ke Zindagee bhar main khulee chhat pe khaDee bheegaa kee Sirf ik lamha barastaa raha saavan ban ke Meree ummeedon se lipTe rahe andeshon ke saanp Umr har daur men kaTtee rahi chandan ban ke Is tarah meree kahaanee se dhuaan uThtaa hai Jaise sulge koi har lafz men eendhan ban ke