liyaa hai kis qadar sakhtii se apna imtihaan ham ne
— Aziz Bano Darab Wafa
Liyaa hai kis qadar sakhtee se apna imtihaan ham ne
Ki ik talvaar rakh dee zindagee ke darmiyaan ham ne
Hamen to umr bhar rahnaa thaa khawabon ke jazeeron men
Kinaaron par pahunch kar phoonk Daaleen kashtiyaan ham ne
Hamaare jism hee kya saa.e tak jismon ke zakhmee hain
Dilon men ghonp liin hain raushnee kee barchhiyaan ham ne
Hamen dee jaa.egee phaansee hamaare apne jismon men
UjaaDee hain tamannaaon kee laakhon bastiyaan ham ne
Wafa ke naam par pairaa kiye kachche ghaDe le kar
Duboyaa zindagee ko daastaan-dar-daastaan ham ne