main us ki baat ke lahje kaa e tibaar karoon
— Aziz Bano Darab Wafa
Main us kee baat ke lahje kaa aitbaar karoon
Karoon ki us kaa na main aaj intizaar karoon
Main sirf saaya hoon apna magar ye zid hai mujhe
Ki apne-aap ko khud se alag shumaar karoon
Ajab mizaaj hai us kaa bhee chaahtaa hai ki main
Ba-taur-e-vaz.a faqat khud ko ikhtiyaar karoon
Main ik athaah samundar hoon is khayaal men gharq
Ki Doob jaaon main khud men ki khud ko paar karoon
Khud apne-aap se milne ke vaaste pahle
Main apne-aap ko Dariya se aabshaar karoon
Main us kee dhoop hoon jo meraa aaftaab nahin
Ye baat khud pe main kis tarah aashkaar karoon
Kisee qadeem kahaanee men ek muddat se
Wo so raha hai ki main us ko hoshiyaar karoon
Phir ek aas kee chilman se umr bhar lag ke
Khud apne paanv kee aahaT kaa intizaar karoon