na jaane kab se baraabar mirii talaash men hai
— Aziz Bano Darab Wafa
Na jaane kab se baraabar miree talaash men hai
Ye kaun khud mire andar miree talaash men hai
Wo mujh men aur kisee ko talaash kartaa hai
Jo mere paas bhee rah kar miree talaash men hai
Gilaa thaa jis ko ki main us kaa aa.eena na banee
Ab apne saa.e se thak kar miree talaash men hai
Ubal paDoon na main ik din kaheen kinaaron se
Zameen hoon main samundar miree talaash men hai