na yaad aayaa na bhuulaa na saaneha mujh ko
— Aziz Bano Darab Wafa
Na yaad aayaa na bhoolaa wo saaneha mujh ko
Banaa gaya jo ik aisa mujassama mujh ko
Ki raaste men khaDaa but samajh ke chhoD gaya
Tamaam umr kee yaadon kaa qaafila mujh ko
Main so rahi thee usee daastaan men sadiyon se
Sulaa gaya tha jahaan meraa haafiza mujh ko
Kisee qadeem kahaanee kaa ik charaagh hoon main
Bujhaa ke chhoD ga.ee taaq par havaa mujh ko
Phir uTh ke niind men jaatee thee us taraf har shab
Pukaartaa tha jidhar se miraa pataa mujh ko
Magar ye hosh na tha le ke jaa raha hai kahaan
Bikhartee TooTtee yaadon kaa silsila mujh ko