padaa hai zindagii ke is safar se saabiqa apna
— Aziz Bano Darab Wafa
PaDaa hai zindagee ke is safar se saabiqa apna
Jahaan chaltaa hai apne saath khaalee raasta apna
Kisee Dariya kee soorat bah rahi hoon apne andar main
Miraa saahil baDhaataa jaa raha hai faasla apna
LuTaa ke apna chehra tak rahi hoon apna munh jaise
Koi paagal ulaT ke dekhtaa ho aa.eena apna
Ye bastee log kahte hain mire khawabon kee bastee hai
Ganvaa baiThee hoon men bad-qismatee se haafiza apna
Ga.e mausam men main ne kyuun na kaaTee fasl khawabon kee
Main ab jaagee hoon jab phal kho chuke hain zaa.iqa apna
Fasaana-dar-fasaana phir rahi hai zindagee jab se
Kisee ne likh diyaa hai taaq-e-nisyaan par pata apna