rooth jaaegaa to mujh se aur kya le jaaegaa

Aziz Bano Darab Wafa

Rooth jaa.egaa to mujh se aur kya le jaa.egaa Bas yahee hogaa ki jiine kaa mazaa le jaa.egaa Sardiyon kee dopahar se dhoop le jaa.egaa wo Garmiyon kee shaam se ThanDee havaa le jaa.egaa Sabz mausam kee tanaaben kheench legaa jism se Aur baalon se mire kaalee ghaTaa le jaa.egaa Apne andar zard patton kee tarah bikhroon gee men Mere andar se mujhe patjhaD uDaa le jaa.egaa