thakan se chuur hoon lekin ravaan davaan hoon main
— Aziz Bano Darab Wafa
Thakan se chuur hoon lekin ravaan-davaan hoon main
Na.ee sahar ke charaaghon kaa kaarvaan hoon main
Havaa.en mere varaq lauT lauT detee hain
Na jaane kitne zamaanon kee daastaan hoon main
Har ek shahr-e-nigaaraan samajh raha hai mujhe
Zaraa qareeb se dekho dhuaan dhuaan hoon main
Kisee se bhiiD men chehra badal gaya hai miraa
To saare aa.ina-khaanon se bad-gumaan hoon main
Main apnee guunj men khoee hoon ek muddat se
Mujhe khabar naheen Kuch kaun hoon kahaan hoon main
Khud apnee diid se mahroom hai nazar meree
Azal se soorat-e-nazzaara darmiyaan hoon main
Miraa vajood-o-adam raaz hai hamesha se
Vahaan vahaan bhee naheen hoon jahaan jahaan hoon main