tuu aayaa to dvaar bhide the diip bujhaa thaa aangan kaa

Aziz Bano Darab Wafa

Too aayaa to dvaar bhiDe the diip bujhaa thaa aangan kaa Sudh bisraane vaale mujh ko hosh kahaan thaa tan man kaa Jaane kin zulfon kee ghaTaa.en chhaa.ee hain meree nazron men Rote rote bhiig chalaa is saal bhee aanchal saavan kaa ThoDee der men thak jaa.enge neel-kamal see rain ke paanv ThoDee der men tham jaa.egaa raag nadee ke jhaanjhan kaa Phir bhee meree baanhon kee khushboo har Daal pe lachkegee Har taaraa hiiraa saa lagegaa mujh ko mere kangan kaa Tum aao to ghar ke saare diip jalaa duun lekin aaj Meraa jaltaa dil hee akelaa diip hai mere aangan kaa