wo ik nazar se mujhe be asaas kar degaa
— Aziz Bano Darab Wafa
Wo ik nazar se mujhe be-asaas kar degaa
Mire yaqeen ko meraa qayaas kar degaa
Main jab bhee us kee udaasee se uub jaa.oongee
To yuun hansegaa ki mujh ko udaas kar degaa
Milaa ke mujh se nigaahen wo meree nazron ke
Zaraa see der men khaalee gilass kar degaa
Phir is tarah se rahegaa mire khayaalon men
Ki meree pyaas ko Dariya kee pyaas kar degaa
Main us kee gard haTaate hue bhee Dartee hoon
Wo aa.eena hai mujhe khud-shanaas kar degaa
Main us ke saamne uryaan lagoongee Dunya ko
Wo mere jism ko meraa libaas kar degaa
Wo maahtaab-sifat sirf raushnee hee nahin
Mujhee ko raat kaa manzar bhee khaas kar degaa