wo ye kah kah ke jalaataa thaa hamesha mujh ko
— Aziz Bano Darab Wafa
Wo ye kah kah ke jalaataa thaa hamesha mujh ko
Aur DhoonDegaa kaheen mere alaava mujh ko
Kis qadar us ko saraabon ne sataayaa hogaa
Duur hee se jo samajhtaa raha chashma mujh ko
Meree ummeed ke sooraj ko Dubo ke har shaam
Wo dikhaataa raha Dariya kaa tamaasha mujh ko
Jab kisee raat kabhee baith ke mai-khaane men
Khud ko baanTegaa to degaa miraa hissa mujh ko
Phir sajaa degaa wo yaadon ke ajaa.ib-ghar men
Soch kar ahd-e-junoon kaa koee sikka mujh ko
Mere ehsaas ke dozakh men sulagne ke liye
ChhoD degaa mire khvaabon kaa farishta mujh ko
Phir ye hogaa ki kisee din kaheen kho jaa.egaa
Ik doraahe pe biThaa ke miraa rasta mujh ko
Log kahte hain ki jaadoo kee saDak hai maazee
MuD ke dekhoongee to ho jaa.egaa sakta mujh ko
Sabz mausam kee inaayat kaa bharosaa bhee naheen
Kab uDaa de ye havaa jaan ke pattaa mujh ko
Vaqt haakim hai kisee roz dilaa hee degaa
Dil ke sailaab-zada shahr pe qabza mujh ko
Main na lailaa hoon na rakhtaa hai wo majnoon kaa mizaaj
Us ne chaahaa hai magar mere alaava mujh ko