zaraa sii der men wo jaane kya se kya kar de
— Aziz Bano Darab Wafa
Zaraa see der men wo jaane kya se kya kar de
Kise charaagh banaa de kise havaa kar de
Mire mizaaj ke kuufe pe jis kaa qabza hai
Khabar nahin ki wo kab mujh ko karbalaa kar de
Ye kaun shakhs hai us lafz jaisaa lagtaa hai
Mire vajood ke matlab ko jo adaa kar de