zindagii ke saare mausam aa ke rukhsat ho gae

Aziz Bano Darab Wafa

Zindagee ke saare mausam aa ke rukhsat ho ga.e Meree aankhon men kaheen barsaat baaqee rah ga.ee Aas kaa sooraj to saaree zindagee niklaa magar Din ke andar jaane kaise raat baaqee rah ga.ee Aa.eena-khaana banaa ke jis ne toDaa thaa mujhe Meree kirchon men usee kee zaat baaqee rah ga.ee Meraa ik ik lafz mujh se chheen kar wo le gaya Jis ke kaaran aaj tak wo baat baaqee rah ga.ee