dekho insaan khaak kaa putlaa banaa kya chiiz hai
— Bahadur Shah Zafar
Dekho insaan khaak kaa putlaa banaa kya chiiz hai
Boltaa hai is men kya wo boltaa kya chiiz hai
Roo-ba-roo us zulf ke daam-e-balaa kya chiiz hai
Us nigah ke saamne teer-e-qazaa kya chiiz hai
Yuun to hain saare butaan ghaarat-gar-e-eemaan-o-deen
Ek wo kaafir sanam naam-e-khuda kya chiiz hai
Jis ne dil meraa diyaa daam-e-mohabbat men phansaa
Wo naheen maaloom muj ko naasehaa kya chiiz hai
Hove ik qatra jo zahraab-e-mohabbat kaa naseeb
Khizr phir to chashma-e-aab-e-baqaa kya chiiz hai
Marg hee sehat hai us kee marg hee us kaa ilaaj
Ishq kaa beemaar kya jaane davaa kya chiiz hai
Dil miraa baiThaa hai le kar phir mujhee se wo nigaar
Poochhtaa hai haath men mere bataa kya chiiz hai
Khaak se paidaa hue hain dekh rangaa-rang gul
Hai to ye naacheez lekin is men kya kya chiiz hai
Jis kee tujh ko justujoo hai wo tujhee men hai 'zafar'
DhoonDtaa phir phir ke to phir jaa-ba-jaa kya chiiz hai