gaaliyaan tankhvaah thahrii hai agar bat jaaegii

Bahadur Shah Zafar

Gaaliyaan tankhvaah Thahree hai agar baT jaa.egee Aashiqon ke ghar miThaa.ee lab shakar baT jaa.egee Roo-ba-roo gar hogaa yoosuf aur too aa jaa.egaa Us kee jaanib se zulekhaa kee nazar baT jaa.egee Rahzanon men naaz-o-ghamza kee ye jins-e-deen-o-dil Juun mataa-e-burda aakhir ham-digar baT jaa.egee Hogaa kya gar bol uTThe ghair baaton men miree Phir tabee.at meree ai bedaad gar baT jaa.egee Daulat-e-Dunya nahin jaane kee hargiz tere saath Baad tere sab yaheen ai be-khabar baT jaa.egee Kar le ai dil jaan ko bhee ranj-o-gham men too shareek Ye jo mehnat tujh pe hai Kuch Kuch magar baT jaa.egee Muung chhaatee pe jo dalte hain kisee kee dekhnaa Jootiyon men daal un kee ai 'zafar' baT jaa.egee