gaii yak ba yak jo havaa palat nahin dil ko mere qaraar hai
— Bahadur Shah Zafar
Ga.ee yak-ba-yak jo havaa palaT nahin dil ko mere qaraar hai
Karoon us sitam ko main kya bayaan miraa gham se siina figaar hai
Ye re.aayaa-e-hind tabah huee kahoon kya jo in pe jafaa huee
Jise dekhaa haakim-e-vaqt ne kahaa ye bhee qaabil-e-daar hai
Ye kisee ne zulm bhee hai sunaa ki dee phaansee logon ko be-gunaah
Vahee kalma-goyon kee samt se abhee dil men un ke bukhaar hai
Na thaa shahr-e-dehlee ye thaa chaman kaho kis tarah kaa thaa yaan aman
Jo khitaab thaa wo miTaa diyaa faqat ab to ujDaa dayaar hai
Yahee tang haal jo sab kaa hai ye karishma qudrat-e-rab kaa hai
Jo bahaar thee so khizaan huee jo khizaan thee ab wo bahaar hai
Shab-o-roz phuul men jo tule kaho khaar-e-gham ko wo kya sahe
Mile tauq qaid men jab unhen kahaa gul ke badle ye haar hai
Sabhee jaada maatam-e-sakht hai kaho kaisee gardish-e-bakht hai
Na wo taaj hai na wo takht hai na wo shaah hai na dayaar hai
Jo sulook karte the aur se vahee ab hain kitne zaleel se
Wo hain tang charkh ke jaur se raha tan pe un ke na taar hai
Na vabaal tan pe hai sar miraa nahin jaan jaane kaa Dar zaraa
KaTe gham hi, nikle jo dam miraa mujhe apnee zindagee baar hai
Kya hai gham 'zafar' tujhe hashr kaa jo khuda ne chaahaa to barmalaa
Hamen hai vaseela rasool kaa wo hamaaraa haamee-e-kaar hai