hote hote chashm se aaj ashk baarii rah gaii
— Bahadur Shah Zafar
Hote hote chashm se aaj ashk-baaree rah ga.ee
Aabroo baare tiree abr-e-bahaaree rah ga.ee
Aate aate is taraf un kee savaaree rah ga.ee
Dil kee dil men aarzoo-e-jaan-nisaaree rah ga.ee
Ham ko khatra thaa ki logon men thaa charchaa aur Kuch
Baat khat aane se tere par hamaaree rah ga.ee
TukDe TukDe ho ke uD jaa.egaa sab sang-e-mazaar
Dil men ba.ad-az-marg Kuch gar be-qaraaree rah ga.ee
Itnaa miliye khaak men jo khaak men DhoonDe koi
Khaaksaaree khaak kee gar khaaksaaree rah ga.ee
Aao gar aanaa hai kyuun gin gin ke rakhte ho qadam
Aur koi dam kee hai yaan dam-shumaaree rah ga.ee
Ho gaya jis din se apne dil par us ko ikhtiyaar
Ikhtiyaar apna gaya be-ikhtiyaaree rah ga.ee
Jab qadam us kaafir-e-bad-kesh kee jaanib baDhe
Duur pahunche sau qadam parhez-gaaree rah ga.ee
Kheenchte hee tegh adaa ke dam huaa apna havaa
Aah dil men aarzoo-e-zakhm-e-kaaree rah ga.ee
Aur to gham-khvaar saare kar chuke gham-khvaargee
Ab faqat hai ek gham kee gham-gusaaree rah ga.ee
Shikva ayyaaree kaa yaaron se bajaa hai ai 'zafar'
Is zamaane men yahee hai rasm-e-yaaree rah ga.ee