ishq to mushkil hai ai dil kaun kahtaa sahl hai
— Bahadur Shah Zafar
Ishq to mushkil hai ai dil kaun kahtaa sahl hai
Lek naadaanee se apnee too ne samjhaa sahl hai
Gar khule dil kee girah tujh se to ham jaanen tujhe
Ai sabaa ghunche kaa uqda khol denaa sahl hai
Hamdamo dil ke lagaane men kaho lagtaa hai kya
Par chhuDaanaa is kaa mushkil hai lagaanaa sahl hai
Garche mushkil hai bahut meraa ilaaj-e-dard-e-dil
Par jo too chaahe to ai rashk-e-maseehaa sahl hai
Hai bahut dushvaar marnaa ye sunaa karte the ham
Par judaa.ee men tiree ham ne jo dekhaa sahl hai
Sham.a ne jal kar jalaayaa bazm men parvaane ko
Bin jale apne jalaanaa kya kisee kaa sahl hai
Ishq kaa rasta saraasar hai dam-e-shamsheer par
Bul-havas is raah men rakhnaa qadam kya sahl hai
Ai 'zafar' Kuch ho sake to fikr kar uqbaa kaa too
Kar na Dunya kaa taraddud kaar-e-Dunya sahl hai