jab kabhi Dariya men hote saya afgan aap hain
— Bahadur Shah Zafar
Jab kabhi Dariya men hote saya-afgan aap hain
Fils-e-maahee ko bataate maah-e-raushan aap hain
Siite hain sozan se chaak-e-seena kya ai chaarasaaz
Khaar-e-gham siine men apne misl-e-sozan aap hain
Pyaar se kar ke hamaa.il ghair kee gardan men haath
Maarte tegh-e-sitam se mujh ko gardan aap hain
Kheench kar aankhon men apnee surma-e-dumbaala-daar
Karte paidaa sehr se nargis men sosan aap hain
Dekh kar sahraa men mujh ko pahle ghabraayaa thaa qais
Phir jo pahchaanaa to bolaa hazrat-e-man aap hain
Jee dhaDaktaa hai kaheen taar-e-rag-e-gul chubh na jaa.e
Sej par phoolon kee karte qasd-e-khuftan aap hain
Kya mazaa hai tegh-e-qaatil men ki aksar said-e-ishq
Aan kar us par ragaDte apnee gardan aap hain
Mujh se tum kya poochhte ho kaise hain ham kya kahen
Jee hee jaane hai ki jaise mushfiq-e-man aap hain
Pur-ghuroor o pur-takabbur pur-jafaa o pur-sitam
Pur-fareb o pur-daghaa pur-makr o pur-fan aap hain
Zulm-pesha zulm-sheva zulm-raan o zulm-dost
Dushman-e-dil dushman-e-jaan dushman-e-tan aap hain
Yakka-taaz o neza-baaz o arbada-joo tund-khoo
Tegh-zan dashna-guzaar o naavak-afgan aap hain
Tasma-kash taraaz o ghaarat-gar taaraaj-saaz
Kaafir yaghmaa.ee o qazzaaq rahzan aap hain
Fitna-joo bedaad-gar saffaak o azlam keena-var
Garm-jang o garm-qatl o garm-kushtan aap hain
Bad-mizaaj o bad-dimaagh va bad-shi.aar o bad-sulook
Bad-tareeq o bad-zabaan bad-ahd o bad-zan aap hain
Be-muravvat bevafaa naa-mehrbaan naa-aashnaa
Mere qaatil mere haasid mere dushman aap hain
Ai 'zafar' kya paa-e-qaatil ke hai bose kee havas
Yuun jo bismil ho ke sargarm-e-tapeedan aap hain