jab ki pahluu men hamaare but e khud kaam na ho
— Bahadur Shah Zafar
Jab ki pahloo men hamaare but-e-khud-kaam na ho
Girye se shaam-o-sahar kyuun ki hamen kaam na ho
Le gaya dil kaa jo aaraam hamaare yaa rab
Us dil-aaraam ko mutlaq kabhee aaraam na ho
Jis ko samjhe lab-e-paan-khurda wo maalida-misee
Mardumaan dekhiyo phoolee wo kaheen shaam na ho
Aaj tashreef gulistaan men wo mai-kash laayaa
Kaf-e-nargis pe dharaa kyoonki bhalaa jaam na ho
Kar mujhe qatl vahaan ab ki na ho koee jahaan
Taa miree jaan too kaheen khalq men badnaam na ho
Dekh kar kholiyo too kaakul-e-pechaan kee girah
Ki miraa taa.ir-e-dil us ke tah-e-daam na ho
Bin tire ai but-e-khud-kaam ye dil ko hai khatar
Tere aashiq kaa tamaam aah kaheen kaam na ho
Aaj har ek jo yaaro nazar aataa hai niDhaal
Apnee abroo kee wo kheenche hue samsaam na ho
Hai mire shokh kee baaleeda wo kaafir aankhen
Jis ke ham chashm zaraa nargis-e-baadaam na ho
Sub.h hotee hee naheen aur naheen kaTtee raat
Rukh pe khole wo kaheen zulf-e-siyaah-faam na ho
Ai 'zafar' charkh pe khursheed jo yuun kaanpe hai
Jalva-gar aaj kaheen yaar lab-e-baam na ho