jigar ke tukde hue jal ke dil kabaab huaa
— Bahadur Shah Zafar
Jigar ke TukDe hue jal ke dil kabaab huaa
Ye ishq jaan ko mere koi azaab huaa
Kiyaa jo qatl mujhe tum ne khuub kaam kiyaa
Ki main azaab se chhooTaa tumhen savaab huaa
Kabhi to shefta us ne kahaa kabhi shaidaa
Gharaz ki roz nayaa ik mujhe khitaab huaa
Piyoon na rashk se Khoon kyoonki dam-ba-dam apna
Ki saath ghair ke wo aaj ham-sharaab huaa
Tumhaare lab ke lab-e-jaam ne liye bose
Lab apne kaaTaa kiyaa main na kaamyaab huaa
Galee galee tiree khaatir phiraa ba-chashm-e-pur-aab
Lagaa ke tujh se dil apna bahut kharaab huaa
Tiree galee men bahaa.e phire hai sail-e-sarishk
Hamaaraa kaasa-e-sar kya huaa habaab huaa
Javaab-e-khat ke na likhne se ye huaa maaloom
Ki aaj se hamen ai naama-bar javaab huaa
Mangaa.ee thee tiree tasveer dil kee taskeen ko
Mujhe to dekhte hee aur iztiraab huaa
Sitam tumhaare bahut aur din hisaab kaa ek
Mujhe hai soch ye hee kis tarah hisaab huaa
'zafar' badal ke radeef aur too ghazal wo sunaa
Ki jis kaa tujh se har ik sher intikhaab huaa