khvaah kar insaaf zaalim khvaah kar bedaad tuu
— Bahadur Shah Zafar
Khvaah kar insaaf zaalim khvaah kar bedaad too
Par jo fariyaadee hain un kee sun to le fariyaad too
Dam-ba-dam bharte hain ham teree havaa-khvaahee kaa dam
Kar na bad-khooon ke kahne se hamen barbaad too
Kya gunah kya jurm kya taqseer meree kya khataa
Ban gaya jo is tarah haq men mire jallaad too
Qaid se teree kahaan jaa.enge ham be-baal-o-par
Kyuun qafas men tang kartaa hai hamen sayyaad too
Dil ko dil se raah hai to jis tarah se ham tujhe
Yaad karte hain kare yuun hee hamen bhee yaad too
Dil tiraa faulaad ho to aap ho aa.eena-vaar
Saaf yak-baaree sune meree agar roodaad too
Shaad o khurram ek aalam ko kiyaa us ne 'zafar'
Par sabab kya hai ki hai ranjeeda o naashaad too