main hoon aasii ki pur khataa Kuch hoon

Bahadur Shah Zafar

Main hoon aasee ki pur-khataa Kuch hoon Teraa banda hoon ai khuda Kuch hoon Juzv o kul ko naheen samajhtaa main Dil men thoDaa saa jaantaa Kuch hoon Tujh se ulfat nibaahtaa hoon main Baa-wafa hoon ki bevafaa Kuch hoon Jab se naa-aashnaa hoon main sab se Tab kaheen us se aashnaa Kuch hoon Nashsha-e-ishq le uDaa hai mujhe Ab maze men uDaa raha Kuch hoon Khvaab meraa hai ain bedaaree Main to us men bhee dekhtaa Kuch hoon Garche Kuch bhee naheen hoon main lekin Us pe bhee Kuch na poochho kya Kuch hoon Samjhe wo apna khaaksaar mujhe Khaak-e-rah hoon ki khaak-e-paa Kuch hoon Chashm-e-altaaf fakhr-e-deen se hoon Ai 'zafar' Kuch se ho gaya Kuch hoon