na durveshon kaa khirqa chaahiye na taaj e shaahaanaa
— Bahadur Shah Zafar
Na darveshon kaa khirqa chaahiye na taaj-e-shaahaanaa
Mujhe to hosh de itnaa rahoon main tujh pe deevaanaa
Kitaabon men dharaa hai kya bahut likh likh ke dho Daaleen
Hamaare dil pe naqsh-e-kal-hajar hai teraa farmaanaa
Ghaneemat jaan jo dam guzre kaifiyyat se gulshan men
Diye jaa saaqee-e-paimaan-shikan bhar bhar ke paimaanaa
Na dekhaa wo kaheen jalva jo dekhaa khaana-e-dil men
Bahut masjid men sar maaraa bahut saa DhoonDaa but-khaanaa
Kuch aisa ho ki jis se manzil-e-maqsood ko pahunchoon
Tareeq-e-paarsaa.ee hove yaa ho raah-e-rindaanaa
Ye saaree aamad-o-shud hai nafas kee aamad-o-shud par
Isee tak aanaa jaanaa hai na phir jaanaa na phir aanaa
'zafar' wo zaahid-e-bedard kee hoo-haq se behtar hai
Kare gar rind dard-e-dil se haav-hoo-e-mastaanaa