na us kaa bhed yaarii se na ayyaarii se haath aayaa
— Bahadur Shah Zafar
Na us kaa bhed yaaree se na 'ayyaaree se haath aayaa
Khuda aagaah hai dil kee khabardaaree se haath aayaa
Na hon jin ke Thikaane hosh wo manzil ko kya pahunche
Ki rasta haath aayaa jis kee hushyaaree se haath aayaa
Huaa haq men hamaare kyuun sitamgar aasmaan itnaa
Koi poochhe ki zaalim kya sitamgaaree se haath aayaa
Agarche maal-e-Dunya haath bhee aayaa hareeson ke
To dekhaa ham ne kis kis zillat-o-khvaaree se haath aayaa
Na kar zaalim dil-aazaaree jo dil manzoor hai lenaa
Kisee kaa dil jo haath aayaa to dildaaree se haath aayaa
Agarche khaaksaaree keemiyaa kaa sahl nuskha hai
Va-lekin haath aayaa jis ke dushvaaree se haath aayaa
Huee hargiz na tere chashm ke beemaar ko sehhat
Na jab tak zahr tere khatt-e-zangaaree se haath aayaa
Koi ye vahshi-e-ram-deeda tere haath aayaa thaa
Par ai sayyaad-vash dil kee giraftaaree se haath aayaa
'zafar' jo do jahaan men gauhar-e-maqsood thaa apna
Janaab-e-fakhr-e-deen kee wo madad-gaaree se haath aayaa