nahin ishq men is kaa to ranj hamen ki qaraar o shakeb zaraa na raha
— Bahadur Shah Zafar
Nahin ishq men is kaa to ranj hamen ki qaraar o shakeb zaraa na raha
Gham-e-ishq to apna rafeeq raha koi aur balaa se raha na raha
Diyaa apnee khudee ko jo ham ne uThaa wo jo parda saa biich men tha na raha
Rahe parde men ab na wo parda-nasheen koi doosraa us ke sivaa na raha
Na thee haal kee jab hamen khabar rahe dekhte auron ke aib o hunar
PaDee apnee buraa.iyon par jo nazar to nigaah men koi buraa na raha
Tire rukh ke khayaal men kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jazaa
Tiree zulf ke dhyaan men kaun see shab mire sar pe hujoom-e-balaa na raha
Hamen saaghar-e-baada ke dene men ab kare der jo saaqee to haa.e ghazab
Ki ye ahd-e-nashaat ye daur-e-tarab na rahegaa jahaan men sadaa na raha
Ka.ee roz men aaj wo mehr-liqaa huaa mere jo saamne jalva-numaa
Mujhe sabr o qaraar zaraa na raha use paas-e-hijaab-o-hayaa na raha
Tire khanjar o tegh kee aab-e-ravaan huee jab ki sabeel-e-sitam-zadgaan
Ga.e kitne hee qaafile khushk-zabaan koi tishna-e-aab-e-baqaa na raha
Mujhe saaf bataa.e nigaar agar to ye poochhoon main ro ro ke khoon-e-jigar
Male paanv se kis ke hain deeda-e-tar kaf-e-paa pe jo rang-e-hinaa na raha
Use chaahaa tha main ne ki rok rakhoon miree jaan bhee jaa.e to jaane na duun
Kiye laakh fareb karoD fusoon na raha na raha na raha na raha
Lage yuun to hazaaron hee teer-e-sitam ki taDapte rahe paDe khaak pe ham
Vale naaz o karishma kee tegh-e-do-dam lagee aisi ki tasma lagaa na raha
'zafar' aadmee us ko na jaaniyegaa wo ho kaisaa hee saahab-e-fahm-o-zakaa
Jise aish men yaad-e-khuda na rahi jise taish men khauf-e-khuda na raha