nibaah baat kaa us hiila gar se Kuch na huaa
— Bahadur Shah Zafar
Nibaah baat kaa us heela-gar se Kuch na huaa
Idhar se kya na huaa par udhar se Kuch na huaa
Javaab-e-saaf to laataa agar na laataa khat
Likhaa naseeb kaa jo naama-bar se Kuch na huaa
Hamesha fitne hee barpaa kiye mire sar par
Huaa ye aur to us fitna-gar se Kuch na huaa
Balaa se girya-e-shab too hee Kuch asar kartaa
Agarche ishq men aah-e-sahar se Kuch na huaa
Jalaa jalaa ke kiyaa sham.a saan tamaam mujhe
Bas aur to mujhe soz-e-jigar se Kuch na huaa
Raheen adoo se vahee garm-joshiyaan us kee
Is aah-e-sard aur is chashm-e-tar se Kuch na huaa
UThaayaa ishq men kya kya na dard-e-sar main ne
Husool par mujhe us dard-e-sar se Kuch na huaa
Shab-e-visaal men bhee meree jaan ko aaraam
Azeezo dard-e-judaa.ee ke Dar se Kuch na huaa
Na doongaa dil use main ye hamesha kahtaa thaa
Wo aaj le hee gaya aur 'zafar' se Kuch na huaa