shaane ki har zabaan se sune koi laaf e zulf
— Bahadur Shah Zafar
Shaane kee har zabaan se sune koi laaf-e-zulf
Cheere hai siina raat ko ye moo-shigaaf-e-zulf
Jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyaah
Is tarah is sanam ke hai rukh par ghilaaf-e-zulf
Barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yaar
Shaamat-zada ne kya kiyaa aisa khilaaf-e-zulf
Matlab na kufr o diin se na dair o haram se kaam
Kartaa hai dil tavaaf-e-izaar o tavaaf-e-zulf
Naaf-e-ghazaal-e-cheen hai ki hai naafa-e-tataar
Kyoonkar kahoon ki hai girah-e-zulf naaf-e-zulf
Aapas men aaj dast-o-garebaan hai roz o shab
Ai mehr-vash zaree kaa nahin moo-e-baaf-e-zulf
Kahtaa hai koi jiim koi laam zulf ko
Kahtaa hoon main 'zafar' ki musattah hai kaaf-e-zulf