yaan khaak kaa bistar hai gale men kafanii hai
— Bahadur Shah Zafar
Yaan khaak kaa bistar hai gale men kafanee hai
Vaan haath men aa.eena hai gul pairahanee hai
Haathon se hamen 'ishq ke din raat naheen chain
Fariyaad o fughaan din ko hai shab naara-zanee hai
Hushyaar ho ghaflat se too ghaafil na ho ai dil
Apnee to nazar men ye jagah be-vatanee hai
Kuch kah naheen saktaa hoon zabaan se ki zaraa dekh
Kya jaa.e hai jis jaa.e na Kuch dam-zadanee hai
Mizhgaan pe mire lakht-e-jigar hee naheen yaaro
Is taar se wo rishta aqeeq-e-yamanee hai
Likh aur ghazal qaafiye ko pher 'zafar' too
Ab tab' kee Dariya kee tiree mauj-zanee hai