sarmaaya e jaan hain shah e abraar kii baaten

Basheer Munzir

Sarmaaya-e-jaan hain shah-e-abraar kee baaten Kis darja sukoon detee hain sarkaar kee baaten Karte hain karam sab pe ki aadat hai ye un kee Sunte hain vafaadaar-o-khataa-kaar kee baaten Haan kaise hain wo koocha-o-baazaar wo galiyaan Kuchh aur karo shahr-e-pur-anvaar kee baaten Haan kaise barastaa hai vahaan nuur kaa baadal Kuchh aur karo gumbad-e-zau-baar kee baaten Haan kaise ghubaar-e-dil-o-jaan dhultaa hai zaa.er Kuchh aur karo abr-e-guhar-baar kee baaten Haan kaise vahaan chaltee hain tham tham ke havaa.en Kuchh aur machaltee huee mahkaar kee baaten Jee chaahe ki har aan sunoon zikr-e-payambar Hotee rahen kaunain ke sardaar kee baaten