zakhm khaa ke khandaan hain pairahan dariida ham
— Basheer Munzir
Zakhm khaa ke khandaan hain pairahan-dareeda ham
Zindagee kaa nauha ham vaqt kaa qaseeda ham
Jaane tab.a ke haathon kaun ghaaT utrenge
Shahr se gurezaan ham dasht se rameeda ham
Zindagee kee aankhon men raat-din khaTakte hain
Khas jo hain to laa-saanee khaar hain to cheeda ham
Barg barg taaza hai zakhm zakhm ristaa hai
Mausam-e-bahaaraan men shaakh-e-nau-bureeda ham
Bazm-e-rang-o-naghma men kaun multafit hogaa
Aah-e-naa-kasheeda ham harf-e-naa-shaneeda ham