aankhon men rahaa dil men utar kar nahiin dekhaa
— Bashir Badr
Aankhon men rahaa dil men utar kar naheen dekhaa
Kashtee ke musaafir ne samundar naheen dekhaa
Be-vaqt agar jaa.oongaa sab chaunk paDenge
Ik 'umr huee din men kabhee ghar naheen dekhaa
Jis din se chalaa huun miree manzil pe nazar hai
Aankhon ne kabhee miil kaa patthar naheen dekhaa
Ye phuul mujhe koee viraasat men mile hain
Tum ne miraa kaanTon bharaa bistar naheen dekhaa
Yaaron kee mohabbat kaa yaqeen kar liyaa main ne
Phoolon men chhupaayaa huaa khanjar naheen dekhaa
Mahboob kaa ghar ho ki buzurgon kee zameenen
Jo chhoD diyaa phir use muD kar naheen dekhaa
Khat aisa likhaa hai ki nageene se jaDe hain
Vo haath ki jis ne koee zevar naheen dekhaa
Patthar mujhe kahtaa hai miraa chaahne vaalaa
Main mom huun us ne mujhe chhoo kar naheen dekhaa