agar yaqiin nahiin aataa to aazmaae mujhe

Bashir Badr

Agar yaqeen naheen aataa to aazmaa.e mujhe Vo aa.ina hai to phir aa.ina dikhaa.e mujhe Ajab charaagh huun din raat jaltaa rahtaa huun Main thak gayaa huun havaa se kaho bujhaa.e mujhe Main jis kee aankh kaa aansoo thaa us ne qadr na kee Bikhar gayaa huun to ab ret se uThaa.e mujhe Bahut dinon se main in pattharon men patthar huun Koee to aa.e zaraa der ko rulaa.e mujhe Main chaahtaa huun ki tum hee mujhe ijaazat do Tumhaaree tarah se koee gale lagaa.e mujhe