hai ajiib shahr kii zindagii na safar rahaa na qayaam hai

Bashir Badr

Hai ajiib shahr kee zindagee na safar rahaa na qayaam hai Kaheen kaarobaar see dopahar kaheen bad-mizaaj see shaam hai Yoonhee roz milne kee aarzoo baDee rakh-rakhaav kee guftugoo Ye sharaafaten naheen be-gharaz ise aap se koee kaam hai Kahaan ab duaaon kee barkaten vo naseehaten vo hidaayaten Ye mutaalbon kaa khuloos hai ye zarooraton kaa salaam hai Vo dilon men aag lagaa.egaa main dilon kee aag bujhaaungaa Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai Na udaas ho na malaal kar kisee baat kaa na khayaal kar Ka.ee saal ba.ad mile hain ham tire naam aaj kee shaam hai Koee naghma dhuup ke gaanv saa koee naghma shaam kee chhaanv saa Zaraa in parindon se poochhnaa ye kalaam kis kaa kalaam hai