main kab tanhaa huaa thaa yaad hogaa
— Bashir Badr
Main kab tanhaa huaa thaa yaad hogaa
Tumhaaraa faisla thaa yaad hogaa
Bahut se ujle ujle phuul le kar
Koee tum se milaa thaa yaad hogaa
Bichhee thiin har taraf aankhen hee aankhen
Koee aansoo giraa thaa yaad hogaa
Udaasee aur baDhtee jaa rahee thee
Vo chehra bujh rahaa thaa yaad hogaa
Vo khat paagal havaa ke aanchalon par
Kise tum ne likhaa thaa yaad hogaa