mirii zindagii bhii mirii nahiin ye hazaar khaanon men bat gaii
— Bashir Badr
Miree zindagee bhee miree naheen ye hazaar khaanon men baT ga.ee
Mujhe ek muTThee zameen de ye zameen kitnee simaT ga.ee
Tiree yaad aa.e to chup rahoon zaraa chup rahoon to ghazal kahoon
Ye 'ajeeb aag kee bel thee mire tan-badan se lipaT ga.ee
Mujhe likhne vaalaa likhe bhee kyaa mujhe paDhne vaalaa paDhe bhee kyaa
Jahaan meraa naam likhaa gayaa vaheen raushnaa.ee ulaT ga.ee
Na koee khushee na malaal hai ki sabhee kaa ek saa haal hai
Tire sukh ke din bhee guzar ga.e miree gham kee raat bhee kaT ga.ee
Miree band palkon pe TuuT kar koee phuul raat bikhar gayaa
Mujhe siskiyon ne jagaa diyaa miree kachchee niind uchaT ga.ee