na jii bhar ke dekhaa na kuchh baat kii

Bashir Badr

Na jee bhar ke dekhaa na kuchh baat kee BaDee aarzoo thee mulaaqaat kee Ujaalon kee pariyaan nahaane lageen Nadee gungunaa.ee khayaalaat kee Main chup thaa to chaltee havaa ruk ga.ee Zabaan sab samajhte hain jazbaat kee Muqaddar miree chashm-e-pur-aab kaa Barastee huee raat barsaat kee Ka.ee saal se kuchh khabar hee naheen Kahaan din guzaaraa kahaan raat kee