sar e raah kuchh bhii kahaa nahiin kabhii us ke ghar main gayaa nahiin
— Bashir Badr
Sar-e-raah kuchh bhee kahaa naheen kabhee us ke ghar main gayaa naheen
Main janam janam se usee kaa huun use aaj tak ye pataa naheen
Use paak nazron se choomnaa bhee ibaadaton men shumaar hai
Koee phuul laakh qareeb ho kabhee main ne us ko chhuaa naheen
Ye khudaa kee den ajiib hai ki isee kaa naam naseeb hai
Jise too ne chaahaa vo mil gayaa jise main ne chaahaa milaa naheen
Isee shahr men ka.ee saal se mire kuchh qareebee aziiz hain
Unhen meree koee khabar naheen mujhe un kaa koee pataa naheen