sau khuluus baaton men sab karam khayaalon men
— Bashir Badr
Sau khuloos baaton men sab karam khayaalon men
Bas zaraa vafaa kam hai tere shahr vaalon men
Pahlee baar nazron ne chaand bolte dekhaa
Ham javaab kyaa dete kho ga.e savaalon men
Raat teree yaadon ne dil ko is tarah chheDaa
Jaise koee chuTkee le narm narm gaalon men
Yuun kisee kee aankhon men sub.h tak abhee the ham
Jis tarah rahe shabnam phuul ke piyaalon men
Meree aankh ke taare ab na dekh paaoge
Raat ke musaafir the kho ga.e ujaalon men
Jaise aadhee shab ke baa'd chaand niind men chaunke
Vo gulaab kee jumbish un siyaah baalon men