yuunhii be sabab na phiraa karo koii shaam ghar men rahaa karo
— Bashir Badr
Yoonhee be-sabab na phiraa karo koee shaam ghar men rahaa karo
Vo ghazal kee sachchee kitaab hai use chupke chupke paDhaa karo
Koee haath bhee na milaa.egaa jo gale miloge tapaak se
Ye na.e mizaaj kaa shahr hai zaraa faasle se milaa karo
Abhee raah men ka.ee moD hain koee aa.egaa koee jaa.egaa
Tumhen jis ne dil se bhulaa diyaa use bhoolne kee duaa karo
Mujhe ishtihaar see lagtee hain ye mohabbaton kee kahaaniyaan
Jo kahaa naheen vo sunaa karo jo sunaa naheen vo kahaa karo
Kabhee husn-e-parda-nasheen bhee ho zaraa aashiqaana libaas men
Jo main ban sanvar ke kaheen chaloon mire saath tum bhee chalaa karo
Naheen be-hijaab vo chaand saa ki nazar kaa koee asar na ho
Use itnee garmee-e-shauq se baDee der tak na takaa karo
Ye khizaan kee zard see shaal men jo udaas peD ke paas hai
Ye tumhaare ghar kee bahaar hai use aansuon se haraa karo