dimaag arsh pe hai khud zameen pe chalte hain

Bekal Utsahi

Dimaagh arsh pe hai khud zameen pe chalte hain Safar gumaan kaa hai aur yaqeen pe chalte hain Hamaare qaafila-saalaaron ke iraade kya Chale to haan pe hain lekin nahin pe chalte hain Na jaane kaun saa nashsha hai un pe chhaayaa huaa Qadam kaheen pe hain paDte kaheen pe chalte hain Banaa ke un ko agar chhoD do to gir jaa.en Makaan na.e ki puraane makeen pe chalte hain Jahaan tumhaaraa hai tum ko kisee kaa Dar kya hai Tamaam tiir jahaan ke hameen pe chalte hain Dimagh arsh pe hai KHud zamin pe chalte hain Safar guman ka hai aur yaqin pe chalte hain Hamare qafila-salaron ke irade kya Chale to han pe hain lekin nahin pe chalte hain Na jaane kaun sa nashsha hai un pe chhaya hua Qadam kahin pe hain paDte kahin pe chalte hain Bana ke un ko agar chhoD do to gir jaen Makan nae ki purane makin pe chalte hain Jahan tumhaara hai tum ko kisi ka Dar kya hai Tamam tir jahan ke hamin pe chalte hain