ektaa ki awaaz khuluus dil men liye kaarvaan ke saath chalo
— Bekal Utsahi
Khuloos dil men liye kaarvaan ke saath chalo
Musaafiro chalo azm-e-garaan ke saath chalo
Zamaana saath chale anjuman bhee saath chale
Bahaar choome qadam baankpan bhee saath chale
Vo azm ho ki jise zindagee salaam kare
Qadam qadam pe sukoon jashn-e-ehtimaam kare
Vatan kee laaj bano qaum kaa nikhaar bano
Har ek dil ke liye husn-e-e.atibaar bano
Bhulaa do firqa-parastee kee daastaanon ko
MiTaa do baDh ke ta.assub bhare jahaanon ko
Qasam vatan kee tumhen ektaa ke gun gaao
Dilon men azmat-e-qaum-o-vatan ko chamkaao
Qadam ke saath agar dil milen to baat bane
Jahaan bhee chaaho vaheen manzil-e-hayaat bane
Ho ek dil zaraa awaaz bhee milaa ke chalo
Chalo to raah-e-havaadis men muskuraa ke chalo
KHulus dil mein liye karwan ke sath chalo
Musafiro chalo azm-e-garan ke sath chalo
Zamana sath chale anjuman bhi sath chale
Bahaar chume qadam bankpan bhi sath chale
Wo azm ho ki jise zindagi salam kare
Qadam qadam pe sukun jashn-e-ehtimam kare
Watan ki laj bano qaum ka nikhaar bano
Har ek dil ke liye husn-e-eatibar bano
Bhula do firqa-parasti ki dastanon ko
MiTa do baDh ke tassub bhare jahanon ko
Qasam watan ki tumhein ekta ke gun gao
Dilon mein azmat-e-qaum-o-watan ko chamkao
Qadam ke sath agar dil milen to baat bane
Jahan bhi chaho wahin manzil-e-hayat bane
Ho ek dil zara aawaz bhi mila ke chalo
Chalo to rah-e-hawadis mein muskura ke chalo