fasl e gul kab lutii nahin maaluum
— Bekal Utsahi
Fasl-e-gul kab luTee nahin maa'loom
Kab bahaar aa.ee thee nahin maa'loom
Ham bhaTakte rahe andhere men
Raushnee kab huee nahin maa'loom
Kab wo guzre qareeb se dil ke
Niind kab aa ga.ee nahin maa'loom
Dard jab jab uThaa huaa mahsoos
ChoT kab kab lagee nahin maa'loom
Bebasee jis kee ziist ho us ko
Ziist kee bebasee nahin maa'loom
Naaz sajdon pe hai hamen lekin
Naazish-e-bandagee nahin maa'loom
Apnee haalat pe tere vahshee ko
Kyuun hansee aa ga.ee nahin maa'loom
Hosh aayaa to mai-kada na raha
Haa.e kis waqt pee nahin maa'loom
Meree jaanib wo dekh kar bole
Hai koi ajnabee nahin maa'loom
Daur-e-haazir kee bazm men 'bekal'
Kaun hai aadmee nahin maa'loom
Fasl-e-gul kab luTi nahin ma'lum
Kab bahaar aai thi nahin ma'lum
Hum bhaTakte rahe andhere mein
Raushni kab hui nahin ma'lum
Kab wo guzre qarib se dil ke
Nind kab aa gai nahin ma'lum
Dard jab jab uTha hua mahsus
ChoT kab kab lagi nahin ma'lum
Bebasi jis ki zist ho us ko
Zist ki bebasi nahin ma'lum
Naz sajdon pe hai hamein lekin
Nazish-e-bandagi nahin ma'lum
Apni haalat pe tere wahshi ko
Kyun hansi aa gai nahin ma'lum
Hosh aaya to mai-kada na raha
Hae kis waqt pi nahin ma'lum
Meri jaanib wo dekh kar bole
Hai koi ajnabi nahin ma'lum
Daur-e-hazir ki bazm mein 'bekal'
Kaun hai aadmi nahin ma'lum