main jab bhi koi achhuutaa kalaam likhtaa hoon

Bekal Utsahi

Main jab bhee koi achhootaa kalaam likhtaa hoon To pahle ek ghazal tere naam likhtaa hoon Badan kee aanch se sanvlaa ga.e hain pairaahan Main phir bhee sub.h ke chehre pe shaam likhtaa hoon Chale to TooTen chaTTaanen ruke to aag lage Shameem-e-gul ko to naazuk-khiraam likhtaa hoon GhaTaa.en jhuum ke barseen jhulas ga.ee khetee Ye haadsa hai ba-sad-ehtiraam likhtaa hoon Zameen pyaasee hai booDhaa gagan bhee bhookaa hai Main apne 'ahd ke qisse tamaam likhtaa hoon Chaman ko auron ne likkhaa hai mai-kada bar dosh Main phuul phuul ko aatish-ba-jaam likhtaa hoon Na raabta na koi rabt hee raha 'bekal' Us ajnabee ko magar main salaam likhtaa hoon Main jab bhi koi achhuta kalam likhta hun To pahle ek ghazal tere nam likhta hun Badan ki aanch se sanwla gae hain pairahan Main phir bhi subh ke chehre pe sham likhta hun Chale to TuTen chaTTanen ruke to aag lage Shamim-e-gul ko to nazuk-KHiram likhta hun GhaTaen jhum ke barsin jhulas gai kheti Ye hadsa hai ba-sad-ehtiram likhta hun Zamin pyasi hai buDha gagan bhi bhuka hai Main apne 'ahd ke qisse tamam likhta hun Chaman ko auron ne likkha hai mai-kada bar dosh Main phul phul ko aatish-ba-jam likhta hun Na rabta na koi rabt hi raha 'bekal' Us ajnabi ko magar main salam likhta hun