tamannaa ban gaii hai maaya e ilzaam kya hogaa
— Bekal Utsahi
Tamannaa ban ga.ee hai maaya-e-ilzaam kya hogaa
Magar dil hai abhee tak tishna-e-paighaam kya hogaa
Vo betaab-e-tamaasha hee sahee ai taab-e-nazzaara
Laraz uThtaa hai dil ye soch kar anjaam kya hogaa
Yahaan jo kuch bhee hai wo partav-e-ehsaas hai saaqee
Ba-juz baada javaab-e-gardish-e-ayyaam kya hogaa
Kabhee jis ke yaqeen se kaa.enaat-e-ishq raushan thee
Vahee ab hai aseer-e-halqa-e-auhaam kya hogaa
Junoon-e-shauq kaa aalam hama mastee sahee lekin
Ye aalam bhee javaab-e-shokhi-e-paighaam kya hogaa
Chale to ho mizaaj-e-yaar kee pursish ko ai 'bekal'
Magar ye soch lo andaaz-e-istifhaam kya hogaa
Tamanna ban gai hai maya-e-ilzam kya hoga
Magar dil hai abhi tak tishna-e-paigham kya hoga
Wo betab-e-tamasha hi sahi ai tab-e-nazzara
Laraz uThta hai dil ye soch kar anjam kya hoga
Yahan jo kuch bhi hai wo partaw-e-ehsas hai saqi
Ba-juz baada jawab-e-gardish-e-ayyam kya hoga
Kabhi jis ke yaqin se kaenat-e-ishq raushan thi
Wahi ab hai asir-e-halqa-e-auham kya hoga
Junun-e-shauq ka aalam hama masti sahi lekin
Ye aalam bhi jawab-e-shoKHi-e-paigham kya hoga
Chale to ho mizaj-e-yar ki pursish ko ai 'bekal'
Magar ye soch lo andaz-e-istifham kya hoga