ye shahr ke baasii kya jaanen kya ruup hai gaanv ke panghat kaa

Bekal Utsahi

Ye shahr ke baasee kya jaanen kya ruup hai gaanv ke panghaT kaa Kyaa ishq hai laaj kee alhaD kaa kya husn hai moh ke naT-khaT kaa Va.adon kee havaa amraa.ee men yaadon kee fazaa angnaa.ee men Milne kee duaa tanhaa.ee men sannaaTe men dhokaa aahaT kaa Aanchal men chhupee mamtaa kee mayaa kathree men dabee bhagvan kee dayaa Laataa hai koi sandesh nayaa pal pal men badalnaa karvaT kaa Choolhe kaa tavaa muskaataa huaa jugnoo bhee uDe sharmaataa huaa Pardesee kee yaad dilaataa huaa khaamosh diyaa ik chaukhaT kaa Galiyaaron men madh Tapkaataa huaa kuTiyon kee sudhaa nahlaataa huaa Aangan men nayan maTkaataa huaa hai chaand auraunee par laTkaa Thak haar ke jo bhee aataa hai jee bhar ke pyaas bujhaataa hai Ai dharm pe marne vaale bataa kya dharm hai nadiyaa ke taT kaa 'bekal' tiraa pag pag naam yahaan utsaahee tire sab kaam yahaan Tiree bhor yahaan tiree shaam yahaan phir kaahe phire bhaTkaa bhaTkaa Ye shahr ke basi kya jaanen kya rup hai ganw ke panghaT ka Kya ishq hai laj ki alhaD ka kya husn hai moh ke naT-khaT ka Wadon ki hawa amrai mein yaadon ki faza angnai mein Milne ki dua tanhai mein sannaTe mein dhoka aahaT ka Aanchal mein chhupi mamta ki maya kathri mein dabi bhagwan ki daya Lata hai koi sandesh naya pal pal mein badalna karwaT ka Chulhe ka tawa muskata hua jugnu bhi uDe sharmata hua Pardesi ki yaad dilata hua KHamosh diya ek chaukhaT ka Galiyaron mein madh Tapkata hua kuTiyon ki sudha nahlata hua Aangan mein nayan maTkata hua hai chand aurauni par laTka Thak haar ke jo bhi aata hai ji bhar ke pyas bujhata hai Ai dharm pe marne wale bata kya dharm hai nadiya ke taT ka 'bekal' tera pag pag nam yahan utsahi tere sab kaam yahan Teri bhor yahan teri sham yahan phir kahe phire bhaTka bhaTka