aap kaa e tibaar kaun kare

Dagh Dehlvi

Aap kaa aitbaar kaun kare Roz kaa intizaar kaun kare Zikr-e-mehr-o-wafa to ham karte Par tumhen sharmsaar kaun kare Ho jo us chashm-e-mast se be-khud Phir use hoshiyaar kaun kare Tum to ho jaan ik zamaane kee Jaan tum par nisaar kaun kare Aafat-e-rozgaar jab tum ho Shikva-e-rozgaar kaun kare Apnee tasbeeh rehne de zaahid Daana daana shumaar kaun kare Hijr men zahr khaa ke mar jaaon Maut kaa intizaar kaun kare Aankh hai turk zulf hai sayyaad Dekhen dil kaa shikaar kaun kare Waada karte nahin ye kahte hain Tujh ko ummeed-vaar kaun kare 'daagh' kee shakl dekh kar bole Aisi soorat ko pyaar kaun kare