Abhi hamaarii mohabbat kisi ko kya maaluum
— Dagh Dehlvi
Abhee hamaaree mohabbat kisee ko kya ma.aloom
Kisee ke dil kee haqeeqat kisee ko kya ma.aloom
Yaqeen to ye hai wo khat kaa javaab likkhenge
Magar navishta-e-qismat kisee ko kya ma.aloom
Ba-zaahir un ko hayaa-daar log samjhe hain
Hayaa men jo hai sharaarat kisee ko kya ma.aloom
Qadam qadam pe tumhaare hamaare dil kee tarah
Basee huee hai qayaamat kisee ko kya ma.aloom
Ye ranj o aish hue hijr o vasl men ham ko
Kahaan hai dozakh o jannat kisee ko kya ma.aloom
Jo sakht baat sune dil to Toot jaataa hai
Is aa.eene kee nazaakat kisee ko kya ma.aloom
Kiyaa karen wo sunaane ko pyaar kee baaten
Unhen hai mujh se adaavat kisee ko kya ma.aloom
Khuda kare na phanse daam-e-ishq men koee
UThaa.ee hai jo museebat kisee ko kya ma.aloom
Abhee to fitne hee barpaa kiye hain aalam men
UThaa.enge wo qayaamat kisee ko kya ma.aloom
Janaab-e-'daagh' ke mashrab ko ham se to poochho
Chhupe hue hain ye hazrat kisee ko kya ma.aloom