Acchi suurat pe gazab Toot ke aanaa dil kaa
— Dagh Dehlvi
Achchhee soorat pe ghazab Toot ke aanaa dil kaa
Yaad aataa hai hamen haa.e zamaanaa dil kaa
Tum bhee munh chuum lo be-saakhta pyaar aa jaa.e
Main sunaa.oon jo kabhi dil se fasaanaa dil kaa
Nigah-e-yaar ne kee khaana-kharaabee aisi
Na Thikaanaa hai jigar kaa na Thikaanaa dil kaa
Puuree mehndee bhee lagaanee nahin aatee ab tak
Kyoonkar aayaa tujhe ghairon se lagaanaa dil kaa
Ghuncha-e-gul ko wo muTThee men liye aate the
Main ne poochhaa to kiyaa mujh se bahaanaa dil kaa
In haseenon kaa laDakpan hee rahe yaa allaah
Hosh aataa hai to aataa hai sataanaa dil kaa
De khuda aur jagah siina o pahloo ke sivaa
Ki bure waqt men ho jaa.e Thikaanaa dil kaa
Meree aaghosh se kya hee wo taDap kar nikle
Un kaa jaanaa tha ilaahee ki ye jaanaa dil kaa
Nigah-e-sharm ko be-taab kiyaa kaam kiyaa
Rang laayaa tiree aankhon men samaanaa dil kaa
Ungliyaan taar-e-garebaan men ulajh jaatee hain
Sakht dushvaar hai haathon se dabaanaa dil kaa
Huur kee shakl ho tum nuur ke putle ho tum
Aur is par tumhen aataa hai jalaanaa dil kaa
ChhoD kar us ko tiree bazm se kyoonkar jaaon
Ik janaaze kaa uThaanaa hai uThaanaa dil kaa
Be-dilee kaa jo kahaa haal to farmaate hain
Kar liyaa too ne kaheen aur Thikaanaa dil kaa
Ba.ad muddat ke ye ai 'daagh' samajh men aayaa
Vahee daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa