ajab apna haal hota jo visaal e yaar hota
— Dagh Dehlvi
Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
Kabhee jaan sadqe hotee kabhee dil nisaar hota
Koee fitna taa-qayaamat na phir aashkaar hota
Tire dil pe kaash zaalim mujhe ikhtiyaar hota
Jo tumhaaree tarah tum se koee jhooTe va.ade kartaa
Tumheen munsifee se kah do tumhen aitbaar hota
Gham-e-ishq men mazaa thaa jo use samajh ke khaate
Ye wo zahr hai ki aakhir mai-e-khush-gavaar hota
Ye maza thaa dil-lagee kaa ki baraabar aag lagtee
Na tujhe qaraar hota na mujhe qaraar hota
Na mazaa hai dushmanee men na hai lutf dostee men
Koee ghair ghair hota koee yaar yaar hota
Tire va.ade par sitamgar abhee aur sabr karte
Agar apnee zindagee kaa hamen aitbaar hota
Ye wo dard-e-dil naheen hai ki ho chaarasaaz koee
Agar ek baar miTtaa to hazaar baar hota
Ga.e hosh tere zaahid jo wo chashm-e-mast dekhee
Mujhe kya ulaT na dete jo na baada-khvaar hota
Mujhe maante sab aisa ki adoo bhee sajde karte
Dar-e-yaar ka.aba bantaa jo miraa mazaar hota
Tumhen naaz ho na kyoonkar ki liyaa hai 'daagh' kaa dil
Ye raqam na haath lagtee na ye iftikhaar hota